Dialogues are the salt and pepper of Indian Cinema. Without the catchy ones, one would not be able to present a tasteful masala movie.
Mr. Lamboo started his career as a
nobody. More than his height, looks, built up or even stares, his dialogue
delivery transformed him into a versatile actor, a star and a brand in himself.
His dialogues have been quoted for over forty years by generations.
Whatever the script be, comedies,
tragedy, action drama, suspense thriller or masala movies, be it experimental
cinema or documentary, Amitabh’s curriculum vitae is rich in all.
Lets’ recollect all the memories
looking at his best dialogues that have achieved cult status.
Jab
tak bethne ko kaha na jaye, sharafat se khade raho. Ye police station hai, tumhare
baap ka ghar nahi. (Zanjeer-1973)
2. Haan
mai sign karunga, lekin mai akele sign nahi karuga. Jao pehle uss aadmi ki sign
lekar aao jisne mere baap ko chor kaha tha; pehle uss aadmi ka sign leke aao
jisne meri maa ko gaali deke naukri se nikal dia tha; pehle uss aadmi ka sign
leke aao jisne mere hath pe ye.. likh dia tha.. ye.. Uske Baad, uske baad mere
bhai tum jaha kahoge mai wahan sign kar
dunga. (Deewar-1975)
3. Don
ka intezar to gyarah mulkon ki police kar rahi hai lekin Don ko pakadna mushkil hi nahin, naamumkin hai. (Don-1978)
4. Naam
Vijay Chauhan.Poora NaamVijay Deenanath Chauhan, ; baap ka naam Master
Deenanath Chauhan, Maa ka naam Suhasini Chauhan; Gaon Maandwa, Umar Chattis
Saal nau mahina aath din, aur yeh solva ghanta chal rahela hai. Hain? (Agneepath-1990)
5. Anand mara nahi, Anand
marte nahi. (Anand-1971)
6. Peter, tum log mujhe wahan
dhoond rahe the aur main tumhara yahan intezaar kar raha hun.Isse apni jeb me
rakh le Peter. Ab mai ye tala teri jeb se chabi nikalkar hi kholunga. (Deewar-1975)
7. Uff tumhaare usool,
tumhaare adarsh. Kis kaam ke hai tumhaare usool. Tumhaare saare usoolon ko
goond kae ek waqt ki roti nahin banaai jaa sakti, Ravi. Dekho mujhe. Ye wohi
mai hu, aur ye wohi tum ho. Tum kaha reh gaye aur mai kaha aa gaya. Aaj mere
pass buildingein hai, bungla hai, gaadi hai, bank balance hai, kya hai tumhare
pass? (Deewar-1975)
8. Kabhi kabhi mere dil mein
khayal aata hai – ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati to
shadab ho bhi sakti thi. (Kabhie Kabhie-1976)
9. Aaj Khush to bahut hoge
tum? Wo jisne .. Hum ghar se beghar ho gae, mera baap jeete jee mar gaya, meri
maa suhagan hote hue bhi vidhva bani rahi, maine tab bhi tumse kuch nai maanga,
lekin aaj maangta hun, meri gunaah ki saza meri maa ko mat do. (Deewar-1975)
10. Jailor saab, pehna dijiye
mujhe zanjeerein. Chunwa dijiye aasman takk ki dewarein. Kaalia har dewar lang
jayega. (Kaalia-1981)
11. Aur aap, Mr R K Gupta, aap mere najayaz baap
hai. Meri maa ko aap se chahe zillat aur beizzati ke siva kuch na mila ho,
lekin main apni maa, usi Shanti ki taraf se aap ki saari daulat vapas lauta
raha hoon. Aaj aap ke paas aap ki saari daulat sahi, sab kuch sahi, lekin maine
aap se jyaada garib aaj tak nahin dekha. Good bye, Mr R K Gupta. – (Trishul-1978)
12. Hum bhi woh hain jo kabhi
kisi ke peeche nahi khade hote, Jahan khade ho jaate hain, line wahi se shuru
hoti hain. (Kaalia-1981)
13. Daaru peene se liver kharab
ho jaata hai. (Satte Pe Satta-1982)
14. Yeh telephone bhi ajeeb
cheez hai — aadmi sochta kuch hai, bolta kuch hai aur karta kuch hai. (Agneepath-1990)
15. Hamare desh mein kaam
dhoondna bhi ek kaam hai.(Shakti-1982)
16. Mai
aaj bhi pheke hue paise nahi uthata. (Deewar-1975)
17. Aisa to aadmi life mein
doich time bhaagta hai. Olympic ka race ho, yaa Police ka case ho. Tum kisliye
bhaagta hai bhai? (Amar Akbar Anthony-1977)
18. Business to aapko karna nahi
aata sethji. Iss building ke aapne paanch lakh zyaada mange hote, tabb bhi mai
isse le leta. Jab ye building bann rahi thi, tabb meri maa ne yaha int pathar
uthaye the. Aaj mai ye building apni maa ko tohfa dene ja raha hu.
(Deewar-1975)
19. Main aur meri tanhaai, aksar
ye baatein karte hain...tum hoti to kaisa hota, tum ye kehti, tum woh kehti,
tum iss baat pe hairan hoti, tum uss baat pe kitni hasti, tum hoti to aisa
hota, tum hoti to waisa hota, main aur meri tanhaai, aksar ye baatein karte
hain. (Silsila-1981)
20. Apun Bahut famous aadmi;
bada bada paper me apun ka chota chota photo chapta hai. (Amar Akbar Anthony-
1977)
21. Aaj
itni bhi maisir nahi maikhane mein. Jitni hum chhod diya karte the paimaane me.
(Sharaabi-1984)
22. Agar
apni maa ka doodh piya hai to saamne aa (Laawaris-1981)
23. Sahi baat ko sahi waqt pe
kiya jaye to uska maza hi kuch aur hai, aur main sahi waqt ka intezaar karta
hoon. (Trishul-1978)
24. Angrezon ke zamaane ke
jailor, aur itni ghabrahat? (Sholay-1975)
25. Moochein ho to Nathulal
jaise warna na ho. (Sharaabi-1984)
26. Jis tarah gobhi ka phool,
phool hokar phool nahi hota, waise hi gainde ka phool bhi phool hokar phool
nahi hota. (Chupke Chukpe-1975)
27. Hum bhi to roz khatro se
khelte hai. (Sholay-1975)
28. Lo Kallo baat. Arre Babuji,
aisi English aave that I can leave Angrez behind. You see sir,I can walk
English, I can talk English, I can laugh English because English is a very
phunny language. Bhairo becomes Byron and Baron becomes Bhairon...because their
minds are very narrow! (Namak Halal-1980)
29. Mujhe jo sahi lagta hai
main karta hoon, fir chahe wo bhagwan ke khilaaf ho, kanoon ke khilaf ho ya
pure system ke khilaaf. (Sarkar-2005)
30. Apun woh kutte ki dum hai,
jo baara baras nalli ke andar daal ke, nalli tedi hoti, apun seedha nahin
hota! (Laawaris-1980)
31. Paisa
kya hai, sirf ek number na. (Teen Patti-2010)
32. Is duniya mein do tarah ka
keeda hota hai. Ek woh jo kachre se uthta hai. Aur doosra woh jo paap ki
gandegi se uthta hai. (Hum-1991)
33. Mard ko dard nahi hota.
(Mard-1985)
34. “You see such extenuating circumstances coerce me to preclude
you from such extravagance! …You see the coefficient of the linear, You know the whole country of the
system is juxtapositioned by the hemoglobin in the atmosphere because you are a
sophisticated rhetorician intoxicated by the exuberance of your own verbosity.
(Amar Akbar Anthony- 1977)
35. Lette, lette nahi, khare hokar baat karo.
(Yaraana-1981)
36. Iss desh me do bharat baste hain. (Aarakshan-2011)
37. Govardhan seth, samundar
mein tairne waale kuoon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain. (Sharaabi-1984)
38. Kachha Paapad!! Pakka
Paapad!!! (Yaarana-1980)
39. You are right, Mr R K
Gupta, yeh contract mujhi ko milegi. Aur haan, mere banaye hue colony mein agar
aapko ghar chahiye, to taqalluf mat kijiyega, makaan aap ko mil jayega. (Trishul-1978)
40. Tumhara Naam kya hai
Basanti? Bada pyaara naam hai. Pehli baar suna aisa naam. (Sholay- 1975)
41. Pakka Idiot dikhta hai.
Pakka Idiot. (Amar Akbar Anthony-1977)
42. Bas !!! Ho gaya pitaai?
Khush??? Khush??? Tereko hum iska vaaste hij bolta tha Ki daaru mat pee mat pee
mat pee daru kharab cheez hai. Tum agar daru nai peyala hota to kya wo jadiya
tereko marne ko sakta tha? Bol, Nai tu bol bol tereko marneko sakta? Eh Anthony Bhai, tum Akela dus dus aadmi ko
marneko sakta hai. Par Tum Apun ka sunta hij kidhar hai? Kidhar hij Sunta hai?
Dekh Dekh... Dekh Apna thopda dekh. Dekh apna thopda aaine me dekh. Kitna Maara
tereko kitna maara. Pakka Idiot dikhta hai ... Pakka Idiot. Abhi tum khada
rehneka hai, thoda dawai lagayega. Hmmm... Hilneka naii. Excuse me... Aye Hilta
kaheko hai bhai? Khada rehneka hai.. steady. Steady Hain.. Steady... Steady...
Steady... Dekh Man. Ye Thoda jalega. Lekin chillaneka naii kya? Apun ka gussa
bhaut zyaada hai. Chillaneka nai hmm. Steady. Sss fooo...sss foooo...sss
foooo...sss foooo. Thoda jalta hai na? Wo to Jalega hi. Isiliye hij tereko bola
hai daru naii pineka. Daru bhaut kharab cheez hai. Chal abhi tereko bandage
lagayega. Kal subah takk sab thik ho jaega. Fikar nai karneka. Fikar.. bilkul
nai karneka. Okay? Acha bhai. Abhi Apun sone ko jaata hai. Tum bhi jao. Hum bhi
Jata, Good Night !!! (Amar Akbar Anthony-1977)
43. Yeh koyle ki khaan ek azgar
hai seth sahab, jo roz, anginath logon ko nigalkar, usei peeskar, jism se khoon
ka ek-ek katra choos kar, ek laash ke roop mein ugal deta hai. (Kaala
Patthar-1979)
44. Aap ne jail ki deewaron aur
zanjeeron ka loha dekha hai, jailer sahab, Kaalia ki himmat ka faulaad nahi
dekha. (Kaalia-1981)
45. Sawaal jis Zabaan me kiya
jaye, jawaab bhi ussi Zabaan mein dena chahiea. (Agneepath-1990)
46. Zindagi ka tambu teen
bambuo pe khada hai. (Sharabi-1984)
47. Apni sharto par chalne wale
ko keemat chukani padati hai. (Sarkar Raj-2008)
48. Nautanki Saala ! Ghadi
Ghadi drama karta hai. (Sholay-1975)
49. Aur waise hi, main is ko
yahan nahi maroonga, warna log kahenge Sikandar ne apne ilake me usey
mara. (Muqaddar Ka Sikander-1978)
50. Bachpan se hain sar par
Allah ka haath, aur Allah Rakha hai mere saath, baazu par hai saat sau
chhiyaasi ka billa, bees number ka beedi peeta hoon, kaam karta hoon coolie ka
aur naam hai Iqbal. (Coolie-1983)
51. Arre yeh jeena bhi koi
jeena hai, Lallu? (Mr Natwarlal-1979)
52. Mere pass mere baap dada ki koi daulat nahi hai. Agar hai to
sirf meri maa ka ashirwad. Mai aap se paanch lakh ka sauda karne aaya hu aur
mere paas paanch futi kaudi bhi nahi hai, lekin agar aap mujhe ye zameen de
denge to pandrah dino ke andar andar mai apke ye paanch lakh chuka dunga.
(Trishul-1978)
53. Pain is my destiny and I
can’t avoid it. (Kala Patthar-1979)
54. Jiske sine mein dil hi nahin, usse dil ka daura
kya padega? (Coolie-1983)
55. Jisne pachchees saal se apni maa ko thoda thoda
marte dekha ho, use maut se kya dar. (Trishul-1978)
56. Parampara, Pratishtha,
Anushasan. Ye is gurukul ke teen stambh hai. Ye wo aadarsh hain jinse hum aapka
aane waala kal banaate hain. (Mohabbatein-2000)
57. Meri history janta nahi hai
tu, mere shareer me haddi kam taanke zyada hain. (Department-2012)
58. Sapne bhi samundar ki
lahron ki tarah haqeeqat ki chattanon se takrakar toot jaate hain. (Deewar-1975)
59. Mr. R.K Gupta, aaj aap ke paas waqt nahi hai.
Kal shayad mere aapke liye waqt nahi hoga. Mai aap ko bata du ke Aapne apni
paanch minute na de kar apne paanch lakh gumaye hai. – (Trishul-1978)