17 July 2015

Top Amitabh Bachchan Dialogues






Dialogues are the salt and pepper of Indian Cinema.  Without the catchy ones, one would not be able to   present a tasteful masala movie. 


Mr. Lamboo started his career as a nobody. More than his height, looks, built up or even stares, his dialogue delivery transformed him into a versatile actor, a star and a brand in himself. His dialogues have been quoted for over forty years by generations. 

Whatever the script be, comedies, tragedy, action drama, suspense thriller or masala movies, be it experimental cinema or documentary, Amitabh’s curriculum vitae is rich in all. 

Lets’ recollect all the memories looking at his best dialogues that have achieved cult status.


Jab tak bethne ko kaha na jaye, sharafat se khade raho. Ye police station hai, tumhare baap ka ghar nahi. (Zanjeer-1973) 

2. Haan mai sign karunga, lekin mai akele sign nahi karuga. Jao pehle uss aadmi ki sign lekar aao jisne mere baap ko chor kaha tha; pehle uss aadmi ka sign leke aao jisne meri maa ko gaali deke naukri se nikal dia tha; pehle uss aadmi ka sign leke aao jisne mere hath pe ye.. likh dia tha.. ye.. Uske Baad, uske baad mere bhai tum  jaha kahoge mai wahan sign kar dunga. (Deewar-1975)
 
3. Don ka intezar to gyarah mulkon ki police kar rahi hai lekin  Don ko pakadna mushkil hi nahin, naamumkin hai. (Don-1978)


4. Naam Vijay Chauhan.Poora NaamVijay Deenanath Chauhan, ; baap ka naam Master Deenanath Chauhan, Maa ka naam Suhasini Chauhan; Gaon Maandwa, Umar Chattis Saal nau mahina aath din, aur yeh solva ghanta chal rahela hai. Hain? (Agneepath-1990)

5. Anand mara nahi, Anand marte nahi. (Anand-1971)

6. Peter, tum log mujhe wahan dhoond rahe the aur main tumhara yahan intezaar kar raha hun.Isse apni jeb me rakh le Peter. Ab mai ye tala teri jeb se chabi nikalkar hi kholunga. (Deewar-1975)

7.   Uff tumhaare usool, tumhaare adarsh. Kis kaam ke hai tumhaare usool. Tumhaare saare usoolon ko goond kae ek waqt ki roti nahin banaai jaa sakti, Ravi. Dekho mujhe. Ye wohi mai hu, aur ye wohi tum ho. Tum kaha reh gaye aur mai kaha aa gaya. Aaj mere pass buildingein hai, bungla hai, gaadi hai, bank balance hai, kya hai tumhare pass? (Deewar-1975)

8. Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai – ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi.  (Kabhie Kabhie-1976)

9. Aaj Khush to bahut hoge tum? Wo jisne .. Hum ghar se beghar ho gae, mera baap jeete jee mar gaya, meri maa suhagan hote hue bhi vidhva bani rahi, maine tab bhi tumse kuch nai maanga, lekin aaj maangta hun, meri gunaah ki saza meri maa ko mat do. (Deewar-1975)

10. Jailor saab, pehna dijiye mujhe zanjeerein. Chunwa dijiye aasman takk ki dewarein. Kaalia har dewar lang jayega. (Kaalia-1981)

11. Aur aap, Mr R K Gupta, aap mere najayaz baap hai. Meri maa ko aap se chahe zillat aur beizzati ke siva kuch na mila ho, lekin main apni maa, usi Shanti ki taraf se aap ki saari daulat vapas lauta raha hoon. Aaj aap ke paas aap ki saari daulat sahi, sab kuch sahi, lekin maine aap se jyaada garib aaj tak nahin dekha. Good bye, Mr R K Gupta. – (Trishul-1978)

12. Hum bhi woh hain jo kabhi kisi ke peeche nahi khade hote, Jahan khade ho jaate hain, line wahi se shuru hoti hain.  (Kaalia-1981)

13. Daaru peene se liver kharab ho jaata hai. (Satte Pe Satta-1982)

14. Yeh telephone bhi ajeeb cheez hai — aadmi sochta kuch hai, bolta kuch hai aur karta kuch hai.  (Agneepath-1990)

15. Hamare desh mein kaam dhoondna bhi ek kaam hai.(Shakti-1982)

16. Mai aaj bhi pheke hue paise nahi uthata. (Deewar-1975)

17. Aisa to aadmi life mein doich time bhaagta hai. Olympic ka race ho, yaa Police ka case ho. Tum kisliye bhaagta hai bhai? (Amar Akbar Anthony-1977)

18. Business to aapko karna nahi aata sethji. Iss building ke aapne paanch lakh zyaada mange hote, tabb bhi mai isse le leta. Jab ye building bann rahi thi, tabb meri maa ne yaha int pathar uthaye the. Aaj mai ye building apni maa ko tohfa dene ja raha hu. (Deewar-1975)

19. Main aur meri tanhaai, aksar ye baatein karte hain...tum hoti to kaisa hota, tum ye kehti, tum woh kehti, tum iss baat pe hairan hoti, tum uss baat pe kitni hasti, tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota, main aur meri tanhaai, aksar ye baatein karte hain. (Silsila-1981)

20. Apun Bahut famous aadmi; bada bada paper me apun ka chota chota photo chapta hai. (Amar Akbar Anthony- 1977)

21. Aaj itni bhi maisir nahi maikhane mein. Jitni hum chhod diya karte the paimaane me. (Sharaabi-1984)

22. Agar apni maa ka doodh piya hai to saamne aa (Laawaris-1981)

23. Sahi baat ko sahi waqt pe kiya jaye to uska maza hi kuch aur hai, aur main sahi waqt ka intezaar karta hoon. (Trishul-1978)

24. Angrezon ke zamaane ke jailor, aur itni ghabrahat? (Sholay-1975)

25. Moochein ho to Nathulal jaise warna na ho. (Sharaabi-1984)

26. Jis tarah gobhi ka phool, phool hokar phool nahi hota, waise hi gainde ka phool bhi phool hokar phool nahi hota. (Chupke Chukpe-1975)

27. Hum bhi to roz khatro se khelte hai. (Sholay-1975)

28. Lo Kallo baat. Arre Babuji, aisi English aave that I can leave Angrez behind. You see sir,I can walk English, I can talk English, I can laugh English because English is a very phunny language. Bhairo becomes Byron and Baron becomes Bhairon...because their minds are very narrow! (Namak Halal-1980)

29. Mujhe jo sahi lagta hai main karta hoon, fir chahe wo bhagwan ke khilaaf ho, kanoon ke khilaf ho ya pure system ke khilaaf. (Sarkar-2005)

30. Apun woh kutte ki dum hai, jo baara baras nalli ke andar daal ke, nalli tedi hoti, apun seedha nahin hota! (Laawaris-1980)

31. Paisa kya hai, sirf ek number na. (Teen Patti-2010)

32. Is duniya mein do tarah ka keeda hota hai. Ek woh jo kachre se uthta hai. Aur doosra woh jo paap ki gandegi se uthta hai. (Hum-1991)

33. Mard ko dard nahi hota. (Mard-1985)

34. “You see such extenuating circumstances coerce me to preclude you from such extravagance! …You see the coefficient of the linear, You know the whole country of the system is juxtapositioned by the hemoglobin in the atmosphere because you are a sophisticated rhetorician intoxicated by the exuberance of your own verbosity. (Amar Akbar Anthony- 1977)

35. Lette, lette nahi, khare hokar baat karo. (Yaraana-1981)

36. Iss desh me do bharat baste hain. (Aarakshan-2011)

37. Govardhan seth, samundar mein tairne waale kuoon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain. (Sharaabi-1984)

38. Kachha Paapad!! Pakka Paapad!!! (Yaarana-1980)

39. You are right, Mr R K Gupta, yeh contract mujhi ko milegi. Aur haan, mere banaye hue colony mein agar aapko ghar chahiye, to taqalluf mat kijiyega, makaan aap ko mil jayega. (Trishul-1978)

40. Tumhara Naam kya hai Basanti? Bada pyaara naam hai. Pehli baar suna aisa naam. (Sholay- 1975)

41. Pakka Idiot dikhta hai. Pakka Idiot. (Amar Akbar Anthony-1977)
42. Bas !!! Ho gaya pitaai? Khush??? Khush??? Tereko hum iska vaaste hij bolta tha Ki daaru mat pee mat pee mat pee daru kharab cheez hai. Tum agar daru nai peyala hota to kya wo jadiya tereko marne ko sakta tha? Bol, Nai tu bol bol tereko marneko sakta?  Eh Anthony Bhai, tum Akela dus dus aadmi ko marneko sakta hai. Par Tum Apun ka sunta hij kidhar hai? Kidhar hij Sunta hai? Dekh Dekh... Dekh Apna thopda dekh. Dekh apna thopda aaine me dekh. Kitna Maara tereko kitna maara. Pakka Idiot dikhta hai ... Pakka Idiot. Abhi tum khada rehneka hai, thoda dawai lagayega. Hmmm... Hilneka naii. Excuse me... Aye Hilta kaheko hai bhai? Khada rehneka hai.. steady. Steady Hain.. Steady... Steady... Steady... Dekh Man. Ye Thoda jalega. Lekin chillaneka naii kya? Apun ka gussa bhaut zyaada hai. Chillaneka nai hmm. Steady. Sss fooo...sss foooo...sss foooo...sss foooo. Thoda jalta hai na? Wo to Jalega hi. Isiliye hij tereko bola hai daru naii pineka. Daru bhaut kharab cheez hai. Chal abhi tereko bandage lagayega. Kal subah takk sab thik ho jaega. Fikar nai karneka. Fikar.. bilkul nai karneka. Okay? Acha bhai. Abhi Apun sone ko jaata hai. Tum bhi jao. Hum bhi Jata, Good Night !!! (Amar Akbar Anthony-1977)

43. Yeh koyle ki khaan ek azgar hai seth sahab, jo roz, anginath logon ko nigalkar, usei peeskar, jism se khoon ka ek-ek katra choos kar, ek laash ke roop mein ugal deta hai. (Kaala Patthar-1979)

44. Aap ne jail ki deewaron aur zanjeeron ka loha dekha hai, jailer sahab, Kaalia ki himmat ka faulaad nahi dekha. (Kaalia-1981)

45. Sawaal jis Zabaan me kiya jaye, jawaab bhi ussi Zabaan mein dena chahiea. (Agneepath-1990)

46. Zindagi ka tambu teen bambuo pe khada hai. (Sharabi-1984)

47. Apni sharto par chalne wale ko keemat chukani padati hai. (Sarkar Raj-2008)

48. Nautanki Saala ! Ghadi Ghadi drama karta hai.  (Sholay-1975)

49. Aur waise hi, main is ko yahan nahi maroonga, warna log kahenge Sikandar ne apne ilake me usey mara. (Muqaddar Ka Sikander-1978)

50. Bachpan se hain sar par Allah ka haath, aur Allah Rakha hai mere saath, baazu par hai saat sau chhiyaasi ka billa, bees number ka beedi peeta hoon, kaam karta hoon coolie ka aur naam hai Iqbal. (Coolie-1983)

51. Arre yeh jeena bhi koi jeena hai, Lallu? (Mr Natwarlal-1979)

52. Mere pass mere  baap dada ki koi daulat nahi hai. Agar hai to sirf meri maa ka ashirwad. Mai aap se paanch lakh ka sauda karne aaya hu aur mere paas paanch futi kaudi bhi nahi hai, lekin agar aap mujhe ye zameen de denge to pandrah dino ke andar andar mai apke ye paanch lakh chuka dunga. (Trishul-1978)

53. Pain is my destiny and I can’t avoid it. (Kala Patthar-1979)

54. Jiske sine mein dil hi nahin, usse dil ka daura kya padega? (Coolie-1983)

55. Jisne pachchees saal se apni maa ko thoda thoda marte dekha ho, use maut se kya dar. (Trishul-1978)

56. Parampara, Pratishtha, Anushasan. Ye is gurukul ke teen stambh hai. Ye wo aadarsh hain jinse hum aapka aane waala kal banaate hain. (Mohabbatein-2000)

57. Meri history janta nahi hai tu, mere shareer me haddi kam taanke zyada hain. (Department-2012)

58. Sapne bhi samundar ki lahron ki tarah haqeeqat ki chattanon se takrakar toot jaate hain.   (Deewar-1975)

59. Mr. R.K Gupta, aaj aap ke paas waqt nahi hai. Kal shayad mere aapke liye waqt nahi hoga. Mai aap ko bata du ke Aapne apni paanch minute na de kar apne paanch lakh gumaye hai. – (Trishul-1978)
 


No comments: